Rapunzel said:agr tum mil jayo
zamana chor dein gay hum
~CHANDNI~ said:KAHAN HO APP ZAMANY KY BAD AOOO
sun_shine said:Assalam O Alaikum
*Thanks Alot
May Allah swt shower His Blessings Upon the Muslim Ummah and guide us to Follow Quran and Sunnah Ameen
*Ramadhan kareem ka chand kal hi dekha
Poori Muslim Ummah k liye Dua mangi
Specially for My parents, My family ,My friends and Those who are not with us specially My grand father...!
YAS said:Ramadan Mubarak to everyone...
~CHANDNI~ said:
Ramzan ka chand dekha
Ramzan ka chand dekha
Roza ki duwa mangi
Roshan sitara dekhe
Teri kheriyat ki duwa mangi
ALLAH Taala app ki har dil ki tamanna poori kare
SAJA RAHY Mera ghar baar OR mery BABUL ka angen
AMEEN
APP SAB NAY RAMDAN KA CHAND DEKH KAY KIYA DOWA MAGI SHERE WITH CHANDNI
Ramadan mubarak
~CHANDNI~ said:
Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafraat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dehekta dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…
Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui,
Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii…
Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh,
Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon…
Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha…
Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…
Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai,
Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai…
Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne,
Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne…
Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha…
Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…
Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai,
Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai…
Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii…
Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai…
Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai,
Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai…
Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha…
Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…
~CHANDNI~ said:
bana gulaab tow kaantay chubha geya ek shakhs
huwa chiraagh tow ghar hi jala geya ek shakhs
tamaam rung meray aur saaray khuwaab meray
fasaana thay k fasaana bana geya ek shakhs
mein kiss hawa mein urron kiss fiza mein lehraaon
dukhon k jaal har ek su bicha geya ek shakhs
palat sakon hi naagay hi barh sakon jis par
mujhay yeh koun say rastay laga geya ek shakhs
mohabbatein bhi ajab uss ki nafratein bhi kamaal
meri hi tarah mujh ka mein sama geya ek shakhs
mohabbaton ne kissi ki bhula rakha tha ussay
milay woh zakham k phir yaad aa geya ek shakhs
woh mahtaab tha marham badast aya tha
magar kuch aur dil dukha geya ek shakhs
khula yeh raaz k aaeynah-khana hai duniya
aur iss mein mujh ko tamaasha bana geya ek shakhs
Rapunzel said:Thank You
Rapunzel said:
Miss mine said:
aap yahan kis liye
mat puch
~tasha~ said:mm n rapu
jee karda jee karda u both enjoy ths game